ABDUL HANNAN – State Vice President, SDPI Karnataka
05-10-2025
Bangalore, 5 October:
Tawanai ke Wazir K.J. George ke khass madadgar (OSD) ko rishwat lete hue Lokayukt Police ne rangay haathon giraftar kiya, jis se Wazir ke daftar mein phaili bhrashtachar ki haqeeqi surat samne aa gayi hai.
Tawanai department ke Executive Engineer aur Wazir ke OSD Jyoti Prakash aur unke driver Naveen M ko ek private company ko NOC dene ke badle rashwat lene ke ilzam mein giraftar kiya gaya hai. SDPI ke riyasati naib-sadr Abdul Hannan ne mutaliba kiya hai ke is mamle mein Wazir ke kirdar ki ghair janibdaar tahqiqat ki jaye, aur tahqiqat ko shaffaf banane ke liye Wazir ko foran istifa dena chahiye.
Yeh waqia koi achanak ghatit hone wala hadsa nahi hai, balki K.J. George ki nigrani mein chalne wale department mein phaili bhrashtachar aur ikhtiyarat ke ghalat istemal ki wazeh alamat hai.
K.J. George ke numainda halqa Sarvagnya Nagar ki halat intehai khasta hai. Halqa Vidhan Soudha se chand kilometer door hone ke bawajood, Wazir ko is ilaqay ki koi parwa nahi.Galiyan aur sarkain tooti phooti hain, har taraf kachray ke dher lage hain, railway ke masail barson se jyon ke tyon hain, traffic ka buhran barhta ja raha hai. Pene ke pani aur safai ka masla hukoomat ne nazarandaz kiya hai.Awami khidmat ke bajaye Wazir aur unke matakht afsaraan loot mar aur rashwat khori mein masroof hain. Ikhtiyarat ka ghalat istemal karte hue inho ne iqtidar ko zaati mufad ke liye SDPI istemal kar liya hai. K.J. Halli aur D.J. Halli ke waqiat mein na-haq giraftar hue darjanon masoom naujawanon ke khandan aaj bhi mushkil mein hain. Yahi Wazir ke numainda ilaqay ke awaam hain, lekin Wazir ne pichlay paanch saalon mein ek martaba bhi in mazloom khandano ki khabar nahi li.
37 afrad aaj bhi UAPA jaise zalim qanoon ke tahat baghair zamaanat ke jail mein pade hain. Wazir K.J. George ne inki faryaad sunne ya humdardi dikhane ki bhi koshish nahi ki. Awami khidmat ke bajaye ikhtiyar ke takabbur aur la parwahi ki yeh wazeh misaal Sarvagnya Nagar Assembly Halqa ke awaam ke samne hai.Ab waqt aa gaya hai ke is ghadari ka jamhoori jawab diya jaye. Awaami aitmaad ko nuqsan pohanchane wali is bhrasht siyasat ka khatma kar ke, shaffaf, awaam dost hukoomat aur haqeeqi taraqqi ke liye ek naya aur imaandaar awaami numainda muntakhib karna zaroori hai.
SDPI ke riyasati naib-sadr Abdul Hannan ne Sarvagnya Nagar ke awaam se appeal ki hai ke is mawzu par sanjeedi se ghour o khowz karein aur aindah ke faislay awaami mufad mein karein.
ಒಡಿಶಾದ ಕಟಕ್ನಲ್ಲಿ ದುರ್ಗಾ ಪೂಜೆಯ ವಿಗ್ರಹ ಮೆರವಣಿಗೆ ಸಮಯದಲ್ಲಿ ಒಂದು ನಿರ್ದಿಷ್ಟ ಸಮುದಾಯವನ್ನು ಗುರಿಯಾಗಿಸಿ ಮಾಡಿದ ಹಿಂಸಾಚಾರ ಅತ್ಯಂತ ಆತಂಕಕಾರಿ…
ಸುಪ್ರೀಂ ಕೋರ್ಟ್ ಮುಖ್ಯ ನ್ಯಾಯಮೂರ್ತಿ ಬಿ.ಆರ್ ಗವಾಯಿ ಅವರ ಮೇಲೆ ಶೂ ಎಸೆಯಲು ಪ್ರಯತ್ನ ಪಟ್ಟ ಘಟನೆಯನ್ನು ಸೋಶಿಯಲ್ ಡೆಮಾಕ್ರಟಿಕ್…
کے․جی․ ہلّی اور ڈی․جی․ ہلّی مقدمے میں گرفتار دو افراد کوسپریم کورٹ نے ضمانت منظور…
ನೀವು ಜ್ಞಾನ, ಹಣ, ಪ್ರತಿಷ್ಠೆ, ಶಕ್ತಿಯನ್ನು ಸಂಗ್ರಹಿಸಬಹುದು. ಆದರೆ ಇದೆಲ್ಲದರ ನಡುವೆ ಪ್ರೀತಿಯನ್ನು ಕಳೆದುಕೊಂಡಿದ್ದರೆ ನೀವು ನಿಜವಾದ ಬದುಕನ್ನೇ ಕಳೆದುಕೊಂಡಿದ್ದೀರಿ…
عبد الحنان ریاستی نائب صدر - ایس۔ ڈی۔ پی۔ آئی ہے بنگلور، 5 اکتوبر: توانائی…