Categories: featureNewsPolitics

SDPI Udupi Zila ki Janib Se SIR ke Mauzoo Par Awami Mashawarti Ijlas

Social Democratic Party of India (SDPI) ki Udupi zila committee ki janib se voter list ki Special Intensive Revision (SIR) ke mauzoo par aik awami mashawarti ijlas aaj Udupi ke Purbhavan mein munaqid kiya gaya. Is ijlas ki sadarat zila sadar Janab Asif Koteshwar ne ki.

Is program mein mehman-e-khaas ke taur par SDPI Karnataka ke riyasati naib sadar Janab Abdul Hannan ne shirkat ki aur voter list ki Special Intensive Revision (SIR) ki wajah se paida hone wale masail aur un ka kis tarah muqabla kiya ja sakta hai, is mauzoo par tafseeli guftagu ki. SDPI Karnataka State Committee ke rukun Janab Shahid Ali bhi mehman ke taur par ijlas mein maujood thay.

SDPI Udupi zila ke General Secretary Janab Shamsuddin ne tamheedi guftagu ki. Stage par SDPI Udupi zila ke naib sadar Janab Hanif Mullur. zila General Secretary Janab Abdul Razzaq YS aur Udupi halqa committee ke sadar Janab Ashraf Bhav bhi maujood thay.

Is program mein Udupi zila ki mukhtalif tanzeemon aur idaron ke ohdedaar. samaji rehnuma aur muazziz shakhsiyat ne shirkat ki

Social Democratic Party of India – Udupi District

admin

Recent Posts

NAMAZ-E-JANAZA & TADFEEN

Announcement AYESHA SHABBIR 25/02/26, WEDNESDAY @1:30 Pm ZOHAR Namaz @MASJID-E-UQBA Saraipalya, THANISANDRA, BANGALORE Scan for…

5 hours ago

Condolences

We are deeply saddened by the demise of AYESHA MADAM SWC Member and WIM State…

9 hours ago

“ಅನ್ಯಾಯದ ವಿರುದ್ಧ ಎದ್ದ ಸ್ವರವೇ ಸ್ವಾತಂತ್ರ್ಯದ ಬೀಜವಾಗುತ್ತದೆ.”

ಭಾರತದ ಸ್ವಾಭಿಮಾನದ ಸಂಕೇತವಾಗಿ, ಬ್ರಿಟಿಷರ ದಮನಕ್ಕೆ ತಲೆಬಾಗದೆ ಹೋರಾಡಿದ ಧೈರ್ಯಶಾಲಿ ವೀರನಾರಿ ಕಿತ್ತೂರು ರಾಣಿ ಚೆನ್ನಮ್ಮ ಅವರ ಪುಣ್ಯತಿಥಿಯಂದು ಅವರ…

3 days ago