23
Jul

Bangalore, 21 July: Dharmasthala mein 100 se ziyada ladkiyon aur khawateen ki mashkook maut, zyadaati aur qatal ke waqiaat ne poore mulk ko hila ke rakh diya hai. In waqiaat ka sach samne aana chahiye, mazloom khandanon ko insaaf milna chahiye, aur chahe jurm karne wale kitne bhi taaqatwar kyun na hon, unhein qanooni tor par sakht tareen saza milni chahiye. SDPI Karnataka ke riyasati sadar Abdul Majeed ne mutaliba kiya ke hukoomat kisi bhi siyasi ya dabao mein aaye baghair, SIT team ko imandari aur ghair janibdaar tahqiqat ke liye mukammal azaadi de.

Bangalore ke Freedom Park mein SDPI ke ehtijaji program se khitab kar rahe the jo Dharmasthala ke afsosnaak zyadaati aur qatal ke waqiaat ke khilaf mun’aqid kiya gaya tha. Riyasat mein barhti hui khawateen par zyadaati aur qatal ke waqiaat aik sanjeeda challenge ban chuke hain. SDPI ka muqaam yeh hai ke is maamle mein mukammal aur adad-o-shumaar par mabni tahqiqat honi chahiye, isi liye party ne poori riyasat mein ehtijajat kiya.

SDPI ne hukoomat ke is qadam ka khair maqdam kiya ke senior IPS officer Pranav Mohanty ki qiyaadat mein SIT team banayi gayi, chahe yeh dayer se hi sahi magar awami dabao ke natije mein hua. Abdul Majeed ne kaha ke is qisam ke sangheen waqiaat mein hukoomat ko foran aur dayanadari se kaam lena chahiye. Tahqiqat mein taqheer ki surat mein saboot mitne ka khatra barh jata hai, jo ke pehle ke waqiaat se sabit hai.

Ehtijaj ke zariye SDPI ne hukoomat ke samne chand ahem mutalibaat rakhe:

1.SIT ki nigraani High Court ke mojooda judge se karwai jaye.

Yeh zaroori hai ke tahqiqat ghair janibdaar aur siyasi asar se paak ho.

  1. Khaas Sarkari Wakeel ki taqarruri ki jaye. Mukammal aur mo’asar prosecution ke

liye tajurbekaar aur maahir wakeel ki zarurat hai.

  1. Insaaf ke liye ek khaas fast track court banaya jaye.

4.Tamam mahazar aur sabooton ko video mein record kiya jaye.

5.Mahazar ke waqt FSL maharin ki mojoodgi laazmi ho.

SDPIKarnataka #DharmasthalaFiles

Leave A Comment