11
Sep

BAAR BAAR RSS KE JAAL MEIN PHANS’TI HUI RIYAASTI CONGRESS HUKUMAT -QURBANI KE BAKRAY BAN RAHE HAIN MUSALMAN.

Bengaluru: 10 September :Karnataka mein Congress hukumat taqreeban 95% Muslim baradari ke voteon se

iqtidar mein aayi thi, lekin aaj wohi hukumat BJP, RSS, Bajrang Dal aur VHP jaisi firqa-parast tanzeemon ke dabao mein jhuk rahi hai. Is ke nateejay mein Musalmanon ko zaleel karne aur haqeer sabit karne walay bayanat mein roz baroz izafa ho raha hai.

Naib Wazir-e-Aala D.K. Shivakumar ka Assembly ke andar RSS ka tarana gana, aaj Wazir-e-Dakhla Dr. Parmeshwar ka ABVP ke program mein shareek hona, Srirangapatna ke Congress MLA ka Muslim mukhalif bayan aur Mandya zila ke Maddur mein Ganesh Visarjan se mutaalliq waqiya par IGP ki press conference ke bawajood- jahan unhone saaf kaha tha ke masjid se kisi qisam ke pathrao ki CCTV footage mojood nahi hai phir bhi “Humne sirf Musalmanon ko giraftar kiya hai, aik bhi Hindu ko nahi pakda” jaisa tauheen amaiz bayan, yeh sab is baat ka saboot hain ke Congress hukumat aaeeni aqdaar ko rond’ti hui mazhab ki buniyad par jaanibdaarana rawayya ikhtiyar kar rahi hai.

Is ki aik aur wazeh misaal yeh hai ke – Congress ke leader pehle ghalti karte hain, phir usay chupane ya jawaz dene ke liye confusion peda karte hain. Is se awam ke diloN mein shak o shubhaat peda hotay hain. Kya waqai Congress ke rehnuma Aaeen ki raah par hain ya phir Sangh Parivar ka khel khel kar siyasi faida uthana chahte hain?

“Secular Hukumat” kehlane wali Congress ko yeh jawab dena hoga ke mazhabi nafrat phailane walay ishtial angez naary lagane walon, mazhabi parcham jalaane walon aur Pratap Simha o C.T. Ravi jaisay rehnumaon ke ishtial angez mujrimana bayanaat par kis qisam ki qanooni karwai ki gayi hai?

Mujrim chahe kisi bhi mazhab se talluq rakhta ho, hukumat ka farz hai ke usay qanoon ke mutabiq giraftar kare. Lekin sirf ek hi community ko nishana bana kar giraftar karna Aaeen mukhalif aur samaaj mein bechaini phailane wala amal hai.

Social Democratic Party of India (SDPI), Karnataka, Congress hukumat ke is rawayyay par shadeed gussa aur ehti’jaaj ka izhaar karti hai. Agar is qisam ke zaleel kun bayanaat aur na-insafiyan jari rahiN to SDPI poore riyasat mein zabardast awami tehreek chala kar Congress hukumat ka kaala chehra be-naqab karne par majboor hogi.

~ABDUL MAJEED,
Riyaasati Sadar, SDPI Karnataka

Leave A Comment