27
Oct

Maqsoos Budget ki Raqham kahan gayi?

White Paper jari karo – SDPI

2025-26 ke budget mein hukoomat ne aqalliyaton ki falah-o-behbood ke liye kuch raqham mokhassas karte hue bahut schemes ka elan kiya tha. Lekin ek taraf un schemes ko implement karne ke liye moqhsoos paisa ab tak jari nahi kiya gaya, aur doosri taraf Aqalliyat Bahbood ka Department bhi bahut sust raftari se kaam kar raha hai. Budget Session mein diye gaye waade sirf waadon tak hi mehdood reh gaye hain.

Social Democratic Party of India (SDPI) ke State Vice President ABDUL HANNAN ne is surat-e-haal par sakht narazgi ka izhar karte hue kaha ke aqalliyaton ki majmooi taraqqi se mutaliq jo na-insafi hui hai aur ho rahi hai, voh na-qabil-e-bardasht hai.

Unho ne hukoomat se mutaliba kiya ke agar waqai aqalliyaton ki falah ke liye moqhsoos paisa kharch kiya gaya hai to us par aik *White Paper jari kiya jaye.

Reports ke mutabiq, Aqalliyat Colony Taraqqi Scheme, Multi-purpose Community Halls ki tameer, khawateen ke liye Pre-University Colleges ka qiyam, Chief Minister’s Special Minority Development Scheme jaise mukhtalif mansubon ke liye sirf 25% fund hi jari kiya gaya hai.

Aqalliyat Bahbood daira ki karkardagi bahut sust hai aur, Officers ki laparwahi bhi numayan hai.

Pichle ek saal se Aqalliyat Taraqqi Nigam ke zariye Foreign Education Loan Scheme, Business Development Loan Scheme aur doosri schemes ke liye darkhwastein dene wale mustafeedeen ko ab tak paisa nahi mila. Jab afsaran se poocha jata hai to voh kehte hain ke Finance Department se taakhir ho rahi hai. In schemes ke liye roz offices ke chakkar lagane wale mustafeedeen ki halat-e-zaar bayan se bahar hai. Is bad-haali ki buniyadi wajah hukoomat ki ghaflat aur laparwahi hai.

Hukoomat ko chahiye ke ab hosh mein aaye aur foran moasser iqdamat kare. Budget mein kiye gaye tamam waadon ko 100 fee-sad amal mein laya jaye aur tamam mutaliq schemes ke liye darkar paisa foran jari kiya jaye – Abdul Hannan ne apne press bayan ke zariye ye mutaliba kiya hai.

~ABDUL HANNAN,
State Vice President – SDPI Karnataka

Leave A Comment